Wednesday, July 6, 2011

Havas-nasib nazar ko kaheen qarar nahi – Sahir Ludhianvi



havas-nasib nazar ko kaheen qarar nahi
main muntazir hun magar tera intazar nahi
hamin se rang-e-gulistan hamin se rang-e-bahar
hamin ko nazm-e-gulistan pe ikhtiyar nahi
abhi na ched mohabbat ke geet ae mutarib
abhi hayat ka mahaul khushgavar nahi
tumhare ahd-e-wafa ko ahad main kya samajhun
mujhe khud apni mohabbat ka aitabar nahi
na jane kitne gile is mein muztarib hai nadim
wo ek dil jo kisi ka gilagusar nahi
gurez ka nahi qayal hayat se lekin
jo soz kahun to mujhe maut nagavar nahi
ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne
ki ab hayat pe tera bhi ikhtiyar nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi



No comments:

Post a Comment