Friday, July 29, 2011

Jab kabhi un ke tavajjo mein kami pai gai – Sahir Ludhianvi



jab kabhi un ke tavajjo mein kami pai gai
az sar-e-nava-e-dastan-e-shauq doharai gai
bik chuke jab tere lab phir tujh ko kya shikwa agar
zindagani bada-o-sagar se bahalai gai
ae gam-e-duniya tujhe kya ilm tere vaste
kin bahanon se tabiyat rah par lai gai
hum karen tark-e-vafa acha chalo yun hi sahi
aur agar tark-e-vafa se bhi na ruswai gai
kaise kaise chashm-o-ariz gard-e-gam se bujh gaye
kaise kaise paikaron ke shan-e-zebai gai
dil ke dhadakan mein tavazzun aa chala hai khair ho
meri nazaren bujh gain ya teri ranai gai
un ka gham un ka tasavvur un ke shikave ab kahan
ab to ye baten bhi ae dil ho gain aayi gai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sahir Ludhianvi



No comments:

Post a Comment