Friday, May 6, 2011

Apni aag ko zinda rakhna kitana mushkil hai – Ishrat Afreen



apni aag ko zinda rakhna kitana mushkil hai
pathar bich aaina rakhna kitana mushkil hai
kitana aasan hai tasvir banana auron ki
khud ko pas-e-aina rakhna kitana mushkil hai
tumane mandir dekhe honge ye mera aangan hai
ek diya bhi jalta rakhna kitana mushkil hai
chullu mein ho dard ka dariya dhyan mein usake honth
yun bhi khud ko pyasa rakhna kitana mushkil hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Ishrat Afreen



No comments:

Post a Comment