Thursday, May 12, 2011

Gham chupate rahe muskurate rahe



gham chupate rahe muskurate rahe
mahafilon mahafilon gungunate rahe
aansuon se likhi dil ki taharir ko
phul ki pattiyon se sajate rahe
gazalen kumhala gain nazmen murjha gain
geet sanvala gaye saz chup ho gaye
phir bhi ahal-e-chaman kitne khushzauq the
nagma-e-fasl-e-gul gungunate rahe
teri sanson ki khushbu labon ki mahak
jane kaise havayen uda lain thi
waqt ka har qadam bhi bahakata raha
zaqt le panv bhi dagmagate rahe


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Bashir Badr



No comments:

Post a Comment