Wednesday, October 6, 2010

hayat-e-khizar

jo milay hayat-e-khizar mujhe..


aur usay main sarf-e-sana karun..


TERA shukr phir bhi ada naa ho..


TERA shukr kaise ada karun..


TERE lutf ki koi hadh nahin..


ginoon kis tarha k adad nahin..


main bohat hi aajiz-o-be-nawa..


TERE agay meri bisaat kia..


main kaha karun TU suna kare..


TU diya kare main liya karun..


TERE dar pe kham rahe sar mera..


TERI rehmaton main guzar mera..


koi bhool ho to maaf kar..


mujhe bakhsh de jo khata karun…!


Ameen..

No comments:

Post a Comment