Sunday, June 27, 2010

Tere pas aane ko jee chahata hai – Sikander Ali Wajd



Tere pas aane ko jee chahata hai
naye zakhm khane ko jee chahata hai
idhar aaye shayad wo mauj-e-tarannum
gazal gungunane ko jee chahata hai
zamana mera aazamaya hua hai
tujhe aazamane ko jee chahata hai
wohi baat reh reh ke yaad aa rahi hai
jise bhool jane ko jee chahata hai
labon par mere khelata hai tabassum
jab aansu bahane ko jee chahata hai
kai martaba dil pe bijli giri hai
magar muskurane ko jee chahata hai
takalluf na kar aj barq-e-tajalli
nasheman jalne ko jee chahata hai
rukh-e-zindagi se naqaben ulat kar
haqiqat dikhane ko jee chahata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sikander Ali Wajd



No comments:

Post a Comment