Friday, June 25, 2010

Diwana banana hai to diwana bana de – Behzad Lucknawi



Diwana banana hai to diwana bana de
warna kaheen taqdir tamasha na bana de
aye dekhanewalon mujhe hans hans ke na dekho
tum ko bhi mohabbat kaheen mujh sa na bana de
main dhundh raha hun meri wo shamma kahan hai
jo bazm ke har cheez ko parwana bana de
aakhir koi surat bhi to ho khana-e-dil ke
kaba nahi banata hai to butkhana bana de
“behzad” har ek jam pe ek sajda-e-masti
har zarre ko sang-e-dar-e-janan na bana de



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Behzad Lucknawi



No comments:

Post a Comment