Thursday, March 11, 2010

Aj ke daur mai ae dost ye manzar kyun hai – Sudarshan Faakir



aj ke daur mai ae dost ye manzar kyun hai
zakhm har sar pe har ik hath mai patthar kyun hai


jab haqiqat hai ke har zarre mai tu rahata hai
phir zamin par kaheen masjid kaheen mandir kyun hai


apana anjam to malum hai sab ko phir bhi
apani nazaron mai har insan sikandar kyun hai


zindagi jine ke qabil hi nahi ab “fakir”
varna har aankh mai ashkon ka samandar kyun hai


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir


Sudarshan Faakir



No comments:

Post a Comment