Saturday, March 20, 2010

Khwab marate nahi – Ahmed Faraz



khwab marate nahi
khwab dil hain na aankhen na sansen ke jo
reza-reza hue to bikhar jayenge
jism ke maut se ye bhi mar jayenge
khwab marate nahi
khwab to roshni hain, nava hain, hawa hain
jo kale pahadon se rukate nahi
zulm ke dozakhon se bhi phukate nahi
roshni aur nava aur hawa ke aalam
maqtalon mein pahunch kar bhi jhukate nahi
khwab to harf hain
khwab to nur hain
khwab to suqrat hain
khwab mansur hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment