Saturday, November 7, 2009

Shair




Kahan mumkin tha main dil se tairi yaad mita daita..
Bhala kaisay main jeeta agar tujh ko bhoola daita….


Tairi ruswayi k dar se labo’n ko sii lya warna…..
Tairay shehar-e-munafiq ki main bunyaadain hila daita…


Kiya tark-e-wafa uss ne tu ho gi uss ki majboori….
Jissay barso’n dua di thi ussay kya bad’dua daita…


Khabar hoti agar mujh ko nahi hai tu muqadar may….
Ussi lamhay main haatho’n ki lakeero’n ko mita daita…!



KUCH DOUR HUMARAY SAATH CHALO
Ham dil kee kahaani keh denge
Samjhe na jise tum aaNkhoN se
Wo baat zabaan se keh deNge


PhooloN ki tarah jab hoToN pe
Ik shokh tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanoN meiN
Ik baat puraanee keh deNge


Izhaar-e-Wafa tum kya jaano
Ikraar-e-Wafa tum kya jaano
Ham zikr karenge GHairoN ka
Aur apnee kahaanee keh deNge


Mausam to baRa hee zaalim hai
Toofaan uTHaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh deNge


Share with us more Shair .in comments section below.



No comments:

Post a Comment