Wednesday, November 25, 2009

Duniya se wafa karake sila dhundh rahe hain – Sudarshan Faakir



Duniya se wafa karake sila dhundh rahe hain
hum log bhi nadan hain ye kya dhundh rahe hain
kuch der thahar jaiye banda-e-insaf
hum apne gunahon mein khata dhundh rahe hain
ye bhi to saza hai ki giraftar-e-wafa hun
q log mohabbat ke saza dhundh rahe hain
duniya ke tamanna thi kabhi hum ko bhi ‘fakir’
ab zakhm-e-tamanna ke dawa dhundh rahe hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir



No comments:

Post a Comment