Sunday, November 1, 2009

Kisi ke aankh jo purnam nahi hai – Amjad Islam Amjad



Kisi ke aankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko gham nahi hai
savad-e-dard mein tanha khada hun
palat jaun magar mausam nahi hai
samajh mein kuch nahi aata kisi ke
agarche guftagu mubaham nahi hai
sulagata q nahi tarik jangal
talab ke lau agar maddham nahi hai
ye basti hai sitam paravar digan ke
yahan koi kisi se kam nahi hai
kinara dusara dariya ka jaise
wo sathi hai magar maharam nahi hai
dilon ke roshni bujhane na dena
vajud-e-tiragi mahakam nahi hai
main tum ko chah kar pachata raha hun
koi is zakhm ka maraham nahi hai
jo koi sun sake ‘amjad’ to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-gam nahi hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Amjad Islam Amjad



No comments:

Post a Comment