Thursday, November 5, 2009

Ek ju-e-dard dil se jigar tak ravan hai aj



ek ju-e-dard dil se jigar tak ravan hai aj
pighala hua ragon mein ik aatish-fishan hai aj
lab si diye hain ta na shikayat kare koi
lekin har ek zakhm ki muh mein zaban hai aj


tarikiyon ne gher liya hai hayat ko
lekin kisi ka ru-e-hasin darmiyan hai aj
jine ka waqt hai yahi marane ka waqt hai
dil apni zindagi se bahut shadaman hai aj
ho jata hun shahid har ahal-e-vafa ki sath
har dastan-e-shauq meri dastan hai aj


aaye hain kis nishat se hum qatl-gah mein
zakhmon se dil hai chur nazar gul-fishan hai aj


zindaniyon ne tod diya zulm ka gurur
wo dab-daba wo raub-e-hukumat kahan hai aj


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Ali Sardar Jafri



No comments:

Post a Comment