Friday, July 10, 2009

Hum raton ko uth uth ke jin ke liye rote hain – Hasrat Jaipuri



hum raton ko uth uth ke jin ke liye rote hain
wo gair ke bahon mein aaram se sote hain
hum ashk judai ke girane hi nahi dete
bechain si palaon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai bedard zamane mein
sachai ke rahon mein kante sabhi boten hain
andaz-e-sitam un ka dekhe to koi “hasrat”
milane ko to milate hain nashtar se chubhote hain




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Jaipuri



No comments:

Post a Comment