Tuesday, July 21, 2009

Aap Aayi Humare Garib Khane Mein



Aap Aayi Humare Garib Khane Mein
Is Kaniz Ka Jahan Jaise Jannat Ho Gaya
Hum Khud Apni Aawaz Sunne Ko Taras Rahe The
Aapke Alfaaz Sune To Yeh Lamha


Saari Zindagi Ho Gaya
Chandni Mein Kud Ko Yun Na Sawariye
Aapko Dekhkar Chand Bhi Sharma Gaya
Phoolon Ko Apni Khubsurti Par Ghamand Tha


Aapko Dekha To Pura Bagh Murjha Gaya
Zaroorat Nahi Hai Ab Chaand Aur Suraj Ki
Aapke Chehre Ke Noor Se
Yeh Jahan Roshan Ho Gaya


Aapki Tariff Mein Aur Kya Bayan Karu
Aapki Khubsoorti Ke Aage
To Yeh Shayar Bhi Haar Gaya



No comments:

Post a Comment