Wednesday, June 3, 2009

Khush hun ki mera husn-e-talab kam to aaya – Shakeel Badayuni



Khush hun ki mera husn-e-talab kam to aaya
khali hi sahi meri taraf jam to aaya
kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigam to aaya
apanon ne nazar pheri to dil ne to diya sath
duniya mein koi dost mere kam to aaya
wo subah ka ehasas ho yan meri kashish ho
duba hua khurshid sar-e-bam to aaya
log un se ye kahate hain ki kitne hain “shakeel” aap
is husn ke sadaqe mein mera naam to aaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni



No comments:

Post a Comment