Monday, June 8, 2009

Dar ki kisi se chup jata hai jaise sanp khazane mein – Munir Niazi



Dar ki kisi se chup jata hai jaise sanp khazane mein
zar ki zor se zinda hain sab khak ki is virane mein
jaise rasm ada karte hon shaharon ki aabadi mein
subah ko ghar se dur nikal kar sham ko vapis aane mein
nile rang mein dubi aankhen khuli padi thin sabze par
aks pada tha aasman ka shayad is paimane mein
dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shahar ki raunaq mein
kitni ziya be-sud gai hai shishe ki lafz jalne mein
main to ‘munir’ aaine mein khud ko tak kar hairan hua
ye chehara kuch aur tarah tha pahale kisi zamane mein



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



No comments:

Post a Comment