Aisa pehli baar hua hai satrah athrah saalon mein
Undekha anjaana koi aane laga hai khayalon mein
Aankhon ki khidki par ek saya sa lehrata hai
Dil ke darwaze par koi dastak de ke jaata hai
Gheri gheri kaali aankhen mujhse mujhko poochti hai
Haaton ki rekhaon mein ek chehra sa ban jata hai
Uski saanse resham jaisi gaalo ko chu jaati hai
Uske haaton ki khushboo hai ab tak mere balon mein
Haan, aisa pehli baar hua hai satrah athrah saalon mein
Undekha anjaana koi aane laga hai khayalon mein
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
To sadab ho bhi sakti thi
Yeh ranjho gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki suahon main kho bhi sakti thi
Magar yeh ho na saka,
Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham, teri joostjoo bhi nahin
Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise, isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin
Na koi raah, na manzil, na roshni ka suragh
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri
Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoo meri hum-nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
Share with us more Filmi sher in hindi in Comments section below.
No comments:
Post a Comment