aao ki koi khwab bunen kal ke vaste
varana ye raat aj ke sangin daur ke
das legi jan-o-dil ko kuch aise ki jan-o-dil
ta-umr phir na koi hasin khwab bun saken
go hum se bhagati rahi ye tez-gam umr
khvabon ke aasare pe kati hai tamam umr
zulfon ke khvab, honton ke khvab, aur badan ke khwab
meraj-e-fan ke khvab, kamal-e-sukhan ke khwab
tahazib-e-zindagi ke, farog-e-vatan ke khwab
zindan ke khvab, kucha-e-dar-o-rasan ke khwab
ye khwab hi to apani javani ke pas the
ye khwab hi to apne amal ke asas the
ye khwab mar gaye hain to be-rang hai hayat
yun hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayat
aao ki koi khwab bunen kal ke vaste
varana ye raat aj ke sangin daur ke
das legi jan-o-dil ko kuch aise ki jan-o-dil
ta-umr phir na koi hasin khwab bun saken
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sahir Ludhianvi
Saturday, October 18, 2008
Aao ki koi khwab bunen kal ke vaste – Sahir Ludhianvi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment