Friday, September 5, 2008

Sar e Raa Girebaan

Main bhi na dikhaon ga sar-e-raah girebaan,
Tum bhi mere waadon ko sar-e-aam na karna,


Is shart pe hai tark-e-taluq ki ijazat,
Badnaam zamane mein mera naam na karna,


Hum log palat aaney ki haatir nahin jate,
Wa sham ke baad apne dar-o-baam na karna,


Yadon ka nasha hosh urra deta hai Jaan,
Saaqi se kaho samne ab jaaam na karna…..

No comments:

Post a Comment