Khoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai Mujhe
Ek Ajooba Ahal-e-Duniya Ko Dikhana Hai Mujhe
Housla Himmat Ke Buniyadoun Me Pathar Baandh Kar
Azm Wo Istaqlaal ka Paya Jamana Hai Mujhe
Mahr Ka Paani, Wafaa Ki Reet, Ganj Isaar Ki
Pyaar Ki Eintou Se Deewarein Uthana Hai Mujhe
Khidkiyaa Iqlaas Ki, Darwaze Husn-e-Qalq Ke
Inn Pe Parde Muskurahat Ke Lagana Hai Mujhe
Dard Mandi Aur Silaa Rehmi Ki Roshan Daniyaa
Farsh Salim Qaaksari Ka Bichana Hai Mujhe
Ilm Ki Hongi Kaamanein Aur Aquwat Ke Sutoon
Saare Ghar Me Ilm Ki Shamein Jalana Hai Mujhe
Chatt Ki Kadiyaa Fahem Ki Houngi Salaqein Raham Ki
Jhoomaroun Se Shukar Ki Chatt Ko Sajana Hai mujhe
Raahdaari Chain Ki, Kamre Sukoon-e-Qalb Ke
Ek Waseh Dalaan Chahat Ka Banana Hai Mujhe
Seedhiyaa Zindadili Ki, Khushdili Ka Tabdaan
Har Qadam Par Naksh Fitrat Ke Bithana Hai Mujhe
Balcony Inksari Ki, Jharoke Sabar Ke
Inn Me Kangoore Sharafat Ke Lagana Hai Mujhe
Rang O Rougan Burdbaari Ke Dar O Deewar Par
Toghre Allah Aur Muhammed Ke Sajana hai Mujhe
Chaar Deewari Haya Ki, Aur Gate Qair Ka
Peid Ekjahiti Ke Aangan Me Lagana Hai Mujhe
Kiyariyan Itayat Ki Hongi, Belein Istaghfaar Ki
Husn Zann Ke Maiz Honge, Kursiyaa Tahzeeb Ki
Iss Tarah Deewan Qane Ko Sajana hai Mujhe
Khoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai Mujhe
No comments:
Post a Comment