Tuesday, January 1, 2008

Wo dil nasib hua jis ko daag bhi na mila – Jalal Lucknawi



Wo dil nasib hua jis ko daag bhi na mila
mila to gam-kada jis mein chirag bhi na mila
gai thi keh k main lati hun zulf-e-yar ke bu
phiri to bad-e-saba ka dimag bhi na mila
asir karake hamen kyon riha kiya saiyad
wo ham-safir bhi choote wo bag bhi na mila
bhar aaye mahafil-e-saqi mein kyon na aankh apni
wo be-nasib hain khali ayag bhi na mila
chirag leke irada tha bakht dhundhate
shab-e-firaq thi koi chirag bhi na mila
khabar ko yar ke bheja tha gum hua aisa
havas-e-rafta ka ab tak surag bhi na mila
“jalal” bag-e-jahan mein wo andalib hain hum
chaman ko phul mile hum ko daag bhi na mila


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jalal Lucknawi



No comments:

Post a Comment