Thursday, January 24, 2008

Ye kah kar diye meri qismat mein nale – Qamar Jalalwi



Ye kah kar diye meri qismat mein nale
tumhari amanat tumhare havale
bas itni hai duri ye manzil hai ye main hun
kahan aake phute hain paon ke chale
karun aisa sajda wo ghabara ke kah den
khuda ke liye ab to sar ko utha le
mariz-e-shab-e-gam ke sans aakhiri hai
charag-e-sahar le raha hai sambhale
kabhi mar bhi chuk ae mariz-e-muhabbat
pareshan baithe hain ghar jane wale
qayamat hain zalim ke nichi nigahen
khuda jane kya ho jo nazaren utha le
“qamar main hun mukhtar tanzim-e-shab ka
hain mere hi bas mein andhere ujale


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalwi



No comments:

Post a Comment