Wednesday, January 9, 2008

Shayad abhi hai rakh mein koi sharar bhi – Ada Jafri



Shayad abhi hai rakh mein koi sharar bhi
kyon warna intazar bhi hai iztirar bhi
dhyan aa gaya hai marg-e-dil-e-namurad ka
milane ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi
ab dhundhane chale ho musafir ko dosto
hadd-e-nigah tak na raha jab gubar bhi
har aastan pe nasiyafarsa hain aj wo
jo kal na kar sake the tera intazar bhi
[ik reh ruk gai to thithak kyon gai ‘ada’
aabad bastiyan hain pahadon ke par bhi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ada Jafri



No comments:

Post a Comment