Tuesday, August 28, 2012

Salgirah poetry



Jalti Shamain, Roshan Chehrey
Kaasni Lariyaan, Nazuk Sehrey


Nargis, Bela, Motiya, Lala
Juhi, champaa aur banafshaa
Har Koi Dekho Shaad Hai Naa
Aaj Tumhari Salgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa


Hum To Sirf Dua-Go Log
Khaak-O-Mehr Ka Kiya Sanjoag
Pas Rahen Ya Doorr Rahen
Wehshat Se Ranjoor Rahen


Mehfil To Abad Hai Naa
Aaj Tumhari Salgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa


Kaise Kaise Khuwab Buney
Rang Ba’range Phool Chuney
Un Ke Hath Pe Hath Rahe Ga
Salgirah Ka Cake Katey Ga


Khuwab Har Ik Barbaad Hai Naa
Aaj Tumhari Salgirah Hai
Dekho Hum Ko Yaad Hai Naa




Tum Ko Yaad Bhi Nahi Rehteen
Hamari Choti Choti Khushiyan


Tum Ko To Shayad Ehsaas Bhi Nahi Hai
Ke Hum Kitne Betaab Hue The Ek Din


Ke Shayad Ab Tum Kaho Ge
Happy Birthday To You


Magar Hamari Muntazir Saa’aton Mai
Tumhare Iss Jumley Ka Rass Na Tapka


Magar Aao, Suno Aur Mehsoos Karo
Hum Tum Se Kehte Hain


Apni Mohabbat Ki Tamam Tar Shiddaton Ke Sath
Happy Birthday To You


Share with us more Salgirah poetry ..in comments section below



No comments:

Post a Comment