Sunday, July 8, 2012

Tumhare khat mein naya ik salam kis ka tha – DaaG Dehlvi



Tumhare khat mein naya ik salam kis ka tha
na tha raqib to aakhir wo naam kis ka tha
wo qatl kar ke har kisi se puchate hain
ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha
wafa karenge nibhayenge baat manenge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha
raha na dil mein wo be-dard aur dard raha
muqim kon hua hai maqam kis ka tha
na puch-pach thi kisi ke na aav-bhagat
tumhari bazm mein kal ehatamam kis ka tha
hamare khat ke to purze kiye padha bhi nahi
sun jo tum ne ba-dil wo payam kis ka tha
inhin sifat se hota hai aadmi mashahur
jo lutf aap hi karte to naam kis ka tha
guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha
har ek se kahate hain kya “dag” bevafa nikala
ye puche in se koi wo gulam kis ka tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi



No comments:

Post a Comment