Friday, March 23, 2012

Isi chaman mein hi hamara bhi ik zamana tha – Jigar Moradabadi



Isi chaman mein hi hamara bhi ik zamana tha
yahin kaheen koi sada sa aashiyana tha
nasib ab to nahi shakh bhi nasheman ke
lada hua kabhi phoolon se aashiyana tha
teri qasam are o jald ruthanevale
gurur-e-ishq na tha naz-e-ashiqana tha
tumhin guzar gaye daman bachakar warna yahan
wohi shabab wohi dil wohi zamana tha



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



No comments:

Post a Comment