Monday, December 19, 2011

Shola tha jal-bujha hun havayen mujhe na do – Ahmed Faraz



Shola tha jal-bujha hun havayen mujhe na do
main kab ka ja chuka hun sadayen mujhe na do
jo zeher pi chuka hun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ke duayen mujhe na do
aisa kaheen na ho ke palatakar na aa sakun
har bar dur ja ke sadayen mujhe na do
kab mujh ko aiteraf-e-muhabbat na tha ‘faraz’
kab main ne ye kaha tha sazayen mujhe na do


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment