Friday, November 18, 2011

Dur se dur talak ek bhi darakht na tha – Gopaldas Neeraj



Dur se dur talak ek bhi darakht na tha
tumhare ghar ka safar is qadar to sakht na tha


itane masaruf the hum jane ke taiyari mein
khade them tum aur tumhen dekhane ka waqt ka tha


main jis ke khoj mein khud kho gaya tha mele mein
kaheen wo mera hi ehasas to kambakht na tha


jo zulm sah ke bhi chup rah gaya na khaul utha
wo aur kuch ho magar aadmi ka rakt na tha


unhin faqiron ne itihas banaya hai yahan
jin pe itihas ko likhane ke liye waqt na tha


sharab kar ke piya us ne zeher jivan bhar
hamare shahar mein ‘neeraj’-sa koi mast na tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Gopaldas Neeraj



No comments:

Post a Comment