Friday, October 7, 2011

Tere bagair ye ab zindagi kahan guzri – Hafeez Aatish



Tere bagair ye ab zindagi kahan guzri
qadam qadam pe tere sath ka guman guzri
ye din jo dhire se phisala to sham ke manzar
tere bagair udasi ke daramiyan guzri
wo ashk hun ki sar-e-rah gir gaya tha kabhi
utha saka na koi kitne karavan guzri
main khushk hoke bikharata raha hun pairon mein
bahut zamana hua mujh pe kashtiyan guzri
tere badan ka aalao ho meri sanson mein
kabhi wo lamha bhi ik bar jan-e-jan guzri
ye baat ab bhi nahi hai kisi se kahane ke
tamam sajde tere dar se rayagan guzri


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hafeez Aatish



No comments:

Post a Comment