Monday, June 20, 2011

Kheton ka harapan main kahan dekh raha hun – Balswarup Rahi



Kheton ka harapan main kahan dekh raha hun
main rel ke injan ka dhuan dekh raha hun
fursat hai kahan aap ke bagat mein tahalun
main apne ujadane ka saman dekh raha hun
khanjar jo gavahi hai mere qatl ke us par
apni hi ungaliyon ke nishan dekh raha hun
sab aap ke aankhon se jahan dekh rahe hain
main aap ke aankhon mein jahan dekh raha hun
wo soch mein dube hain nishana ho kahan par
main tute huye tir-kaman dekh raha hun
malum hai taqarir likha laye hain kis se
main un ka zara tarz-e-bayan dekh raha hun
jo main ne kharida tha kabhi bech ke khud ko
nilam mein bikata wo makan dekh raha hun
tu dhundh rahi hogi kahan mujh ko qayamat
main kab se teri reh yahan dekh raha hun
toka jo unhonne ki kaho dekh li duniya
main bhi kaha hans ke ki han dekh raha hun
budhi hui umeed to kya phir bhi ladunga
main apne irade ko jawan dekh raha hun
jis reh se jana hai nai pidhi ko ‘rahi’
us reh mein ik andha kuan dekh raha hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Balswarup Rahi



No comments:

Post a Comment