Sunday, July 18, 2010

Dil ki baat bata saka

Na me paas usko bula saka


Na me Dil ki baat bata saka


Wo hansi hansi me hi chal diya


K me hath tak na mila saka


U hi sochta raha door tak


Magar usko kuch na bata saka


Ye maqam hi tha ajeeb sa


K me khud ko b na bacha saka


Wo juda huva to kuch is tarah


Koi rasam tak na nibha saka


Usay jana tha wo chala gaya


Usay ab tak na bhula saka

No comments:

Post a Comment