Thursday, May 6, 2010

Dost ban kar bhi nahi sath nibhanevala – Ahmed Faraz



Dost ban kar bhi nahi sath nibhanevala
wohi andaz hai zalim ka zamanevala
ab ise log samajhate hain giraftar mera
sakht nadim hai mujhe dam mein lanevala
kya kahen kitne marasim the hamare is se
wo jo ik shakhs hai muh pher ke janevala
tere hote hue aa jati thi sari duniya
aj tanha hun to koi nahi aanevala
muntazir kis ka hun tuti hui dahaliz pe main
kon aayega yahan kon hai aanevala
main ne dekha hai baharon mein chaman ko jalate
hai koi khwab ke tabir batanevala
kya khabar thi jo meri jan mein ghula hai itna
hai wohi mujh ko sar-e-dar bhi lane vala
tum taqalluf ko bhi ikhalas samajhate ho ‘faraz’
dost hota nahi har hath milanevala


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment