Sunday, February 14, 2010

Pehle Roushni Ko Tarasne Wale



Pehle Roushni Ko Tarasne Wale,
Aaj Hain Hum Shayon Se Dosti Rakhne Wale


Woh Suna Chuke Hain Humein Apna Faisla,
Har Sawal Ka Jawab Sawal Se Dene Wale


Kyon Umeed Karke Udas Karon Khud Ko,
Jhooti Ass Banaee Kwabon Mein Rehne Wale


Teri Nasseb Mein Hai Sirf Sohrat-E-Harf,
Nahi Milenge Lafzoon Ko Mehsoo Karne Wale


Woh Laga Gaye Hain Mujh Par Ilzam Kya Kya,
Rooz Fareb, Hamesha Se Ghaat Karne Wale


Koun Koun Se Zakmon Ko Chupaoon Main,
Itne Gehre Hain Mere Ghaw Nahi Chupne Wale


Kya Pyar Karon Ab To Nafrat Bhi Nahi Ati,
Youn Loot Gaye Mujhe Bewafaee Karne Wale


Bech Deta Hai Zamana Masihon Ko ‘Nazeer’
Rehbar He The Isa Ko Saleeb Tak Pohchane Wale



No comments:

Post a Comment