Wednesday, April 8, 2009

Hai tere kan zulf-e-muimbar lagi hui



hai tere kan zulf-e-muimbar lagi hui
rakkhegi ye na bal barabar lagi hui
baithe bhare hue hain khum-e-mai ke tarah hum
par kya karen ke muhar hai muh par lagi hui
mayyat ko gusal dijo na khaksar ke
hai tan pe khak-e-kucha-e-dilbar lagi hui
nikle hai kab kisi se bhi us ke mizha ke nok
hai phans si kaleje ke andar lagi hui
ae ‘zauq’ dekh dukhtar-e-raz ko na muh laga
chutati nahi hai muh se ye kafir lagi hui


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq



No comments:

Post a Comment