Sunday, February 15, 2009

Kaheen aisa na ho daman jala lo – Liyaqat Ali Aasim



Kaheen aisa na ho daman jala lo
hamare aansuon par khak dalo
manana hi zaruri hai to phir tum
hamen sab se khafa hokar mana lo
bahut roi huin lagti hain aankhen
meri khatir zara kajal laga lo
akelepan se khauf aata hai mujh ko
kahan ho ae mere khwabon khayalon
bahut mayus baitha hun main tum se
kabhi aakar mujhe hairat mein dalo


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Liyaqat Ali Aasim



No comments:

Post a Comment