Wednesday, October 25, 2006

waqt anay wala

Hazrat Muhammad(S.A.W) ka irshaad e mubarik hai : “meri ummat per wo waqt anay wala hai jb dosri qaumen lukma e tar smjh kr in per is tarah tot parn ge js tarah khanay wale dastarkhawn pe tot parte hn”.


Ksi ne pocha: Ya Rasool Allah (S.A.W) kya us zamanay mein hmari tadad is kadr km ho jae ge?


“us wqt tmhari tadad km na ho ge albta tm sailb mein behnay wale tinkn ki tarah be wazn ho jao ge aur tmara roub khtm ho jae ga aur tmare andr buzdili paida ho jae ge” is per aik shakhs ne pocha: “yh buzdili q paida ho ge?” aap (S.A.W) ne farmaya : “tm dunya se mhbt krne lgo ge aur maut se bhagnay aur nfrt krne lgo ge”


(Abu dawood muarif ul hadees)

No comments:

Post a Comment