Tum Meri Kashti Ke Musafir Nahi
Tumhe Jaana Kahi Aur Hai
Main Tanha Hu Es Safar Me
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Mera Jism Zakhmo Se Hai Chalni
Meri Ruh Ka Bhi Pata Nahi
In Viraniyo Ke Aalam Me
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Maine Joda Tha Ek Karvaan
Ek Ek Kar Sab Bichad Gaye
Bas Mujhi Ko Manzil Na Mili
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Maine Pyar Unse Kiya Bohot
Par Hath Me Aaya Kuch Nahi
Bewafao Ki Is Basti Mein
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Aankho Mein Ab Neend Nahi
Aansu Bhi Hai Sukh Chuke
Koi Raasta Dikha Do Mujh Ko
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Wo Gaya Yuh To Dur Hai
Par Aayega Ek Din Zarur
Kamsin Ab Ke Use Keh Dena
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Yuh Raah Me Na Choda Kare
Raasta Bohot Kathin Hai
Waqt Aur Na Barbaad Kare
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
No comments:
Post a Comment