Saturday, June 23, 2007

Baiwafai k sitam

Na woh milta hai,Na milnay ka ishaara koi..


Kaisay umeed ka chamkay ga sitara koi..


Had say zaiyada na kisi say b muhabbat karna..


Jaan laita hai sada jaan say Paiyaara koi..


Baiwafai k sitam tum ko samajh aa jaatay..


Kaash Tum jaisa agar hota Tumhara koi..


Chaand nay jaagtay rehnay ka sabbab poocha hai..


Kya kahain”Toot gya Khawab hamara koi..


Sab taaluq hain zarurat k yahaan par Mohsin..


Na koi Dost,Na Apna,Na Sahaara koi….

No comments:

Post a Comment