aj unhen kuch is tarah jee khol kar dekha kiye
ek hi lamhe mein jaise umr bhar dekha kiye
dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi
jis qadar thi hum ko taufiq-e-nazar dekha kiye
khudfaroshana ada thi meri surat dekhana
apne hi jalve ba-andaz-e-digar dekha kiye
nashanas-e-gam faqat dad-e-hunar dete rahe
hum mata-e-gam ko rusva-e-hunar dekha kiye
dekhane ka ab ye aalam hai koi ho ya na ho
hum jidhar dekha kiye paharon udhar dekha kiye
husn ko dekha hai main ne husn ke khatir ‘hafeez’
varna sab apana hi mear-e-nazar dekha kiye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hafeez Hoshiarpuri
No comments:
Post a Comment