Monday, June 25, 2007

Dil ke bat labon par lakar ab tak hum dukh sahate hain – Habib Jalib



Dil ke bat labon par lakar ab tak hum dukh sahate hain
hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rehte hain
bit gaya savan ka mahina mausam ne nazaren badali
lekin in pyasi aankhon mein ab tak aansu behte hain
ek hamen aawara kahana koi bada ilzam nahi
duniya wale dil valon ko aur bahut kuch kahate hain
jis ke khatir shahar bhi choda jis ke liye badnam hue
aj wohi hum se begane begane se rehte hain
wo jo abhi rahguzar se chak-e-gareban guzra tha
us aawara divane ko ‘jalib’-‘jalib’ kahate hain




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Habib Jalib



No comments:

Post a Comment