Wednesday, June 27, 2007

Jog bijog ke baten jhuthi sab jee ka bahalana ho – Ibne Insha



jog bijog ke baten jhuthi sab jee ka bahalana ho
phir bhi hum se jate jate ek gazal sun jana ho
sari duniya aql ke bairi kon yahan par sayana ho
nahaq naam dharen sab hum ko divana divana ho
tum ne to ik rit bana li sun lena sharmana ho
sab ka ek na ek thikana apna kon thikana ho
nagari nagari lakhon dvare har dvare par lakh sukhi
lekin jab hum bhool chuke hain daman ka phailana ho
tere ye kya jee mein aayi khainch liye sharma kar hont
hum ko zeher pilane vali amrit bhi pilavana ho
hum bhi jhuthe tum bhi jhuthe ek isi ka sacha naam
jis se dipak jalana sikha paravana mar jana ho
sidhe man ko aan daboche mithi baten sundar log
‘meer’, ‘nazeer’, ‘kabir’ aur ‘insha’ sab ka ek gharana ho
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ibne Insha




No comments:

Post a Comment