Tuesday, June 26, 2007

Kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na ho



kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na ho
aisi bhi to kisi se mohabbat kabhi na ho
wada zarur karte hain aate nahi kabhi
phir ye bhi chahate hain shikayat kabhi na ho
sham-e-visal bhi ye tagaful ye berukhi
teri raza hai mujhko masarrat kabhi na ho
ahabab ne diye hain mujhe kis tarah fareb
mujhasa bhi koi sada tabiyat kabhi na ho
lab to ye kah rahe hain ke uth, badh ke choom le
aankhon ka ye ishara ke jurr’at kabhi na ho
dil chahata hai phir wohi fursat ke raat din
mujhko to tere khayal se fursat kabhi na ho


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Krishna Mohan



No comments:

Post a Comment