Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Ban Ker
Hum Se Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban Ker
Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Ban Ker
Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Ban Ker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Honton Pey Machalta Hai To Naghma Ban Ker
Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahi Chehre Ki Chamak
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Ban Ker
Mera Kiya Haal Hai Yeh Aa Kay Kabhi Dekh To Le
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vadah Ban Ker
Dhoop Mein Kho Gaya Wo Hath Chura Kar
Ghar Se Jo Saath Chala Tha Mera Saya Ban Ker
Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Ban Ker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban Ker
No comments:
Post a Comment