Ek Muhobat Hai or Us ki Ek Nishani Hai
Ek Dil Hai Jese Koi Haweli Purani Hai
Saffar Raat Ka Hai or Raat B Tofani Hai
Samandar Hi Samandar Hai Kashti B Doob Jani Hai
Ibtedae-ishq se Intehae-ishq tak Me Hi Thi Bewaffa or
Mene Hi Waffa Nibhani Hai
Me Laut Aai Hon Manzill Ko Dekh Kar
Udhar To Yaro Veerani Hi Veerani Hai
Ye Intezar Khatam Q Nahi Hota
Kisi Se Pocho ” Aakhir Maut Kab Aani Hai..”
Ae Maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki Zahar khaaye zamaane guzar gaye,
O jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye,
Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye,
Kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye,
Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
Kya kya Tavaqqoat thi aun se ai “SHAMS”
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye.
Share with us more …Maut sms .in comments section below.
No comments:
Post a Comment