Aathwan Din - Adhoori Mohabbat Ki Ek Nazam
‘Peer’ Ki Shab Aankhon Mein Kati,
‘Mangal’ Aaya, Tum Nahi Aaye,
‘Budh’ Ko Mein Saj Ban Kar Bhaithi
Aankhein Bhi Dehleez Pe Rakhin
Lamha Lamha Gin Gin Kata
Goonj Utha Dil Ka Sannata
‘Jumerat’ Ki Raat Ko Sajna!
Meiny Suna Tumny Aana Hai
Deikh Lia? Phir Tum Nahi Aaye
Phail Gaye Yadoon Ky Saye
‘Juma’ Aaya
Apny Ander Ki Larki Ko
Ahista Ahista Jagaya
Khushbu, Ghaza, Mehndi, Kajal,
Kangan, Bindiya, Jhumka, Payal
Jo Khush Mere Paas Tha Janum!
Khoob Rachaya, Khoob Sajaya
Dhal Gaya Kaikin Din Ka Saya
‘Hafta’ Aaya
Kuch Bhi Na Paya, Aankhein Hi Kia
Dil Pathraya
Aur ‘Itwaar’ Ko
Ek Dastak Ny
Mere Ander Ky
Sary Arman Jagaye
Dil Mein Jo Murjhaye Huy Thy
Phool Khilaye
Kaan Lagaya
Koi Na Bola, Koi Na Bola,
Main Pohnchi, Darwaza Khola,
Koi Nahi Tha
Jagti Aankhon Ka Sapna Tha
Wo Sapna Bhi Toot Gaya
Dil Apna Bhi Toot Gaya
Dil Toota To Yaad Aaya, Haan
‘Aathwein’ Din Ka
‘Aathwaan’ Din Kab Aaya Janum ?
Tun Naam Batao Aathwein Din Ka
Ya Phir Meri Baat Suno!
Ashkon Ki Barsat Suno!
Aao Suno Ke Meine Janum!
Ban’na, Sanwarna Chorr Dia Hai
Tum Sy Piyaar Hai Ab Bhi Lekin
Tum Sy Mohabbat Ka Dam Bharna Chorr Dia Hai
Jeena Seekh Liya Hai Meine
Rooz Ka Marna Chorr Dia Hai!!
No comments:
Post a Comment