Monday, June 18, 2007

Gham bade aate hain qatil ki nigahon ki tarah



gham bade aate hain qatil ki nigahon ki tarah
tum chipa lo mujhe, ae dost, gunahon ki tarah
apni nazaron mein gunahagar na hote, kyon kar
dil hi dushman hain mukhalif ki gvahon ki tarah
har taraf zist ki rahon mein kadi dhup hai dost
bas teri yaad ki saye hain panahon ki tarah
jinake khatir kabhi ilzam uthaye, ‘fakir’
wo bhi pesh aaye hain insaf ki shahon ki tarah


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Sudarshan Faakir



1 comment:

  1. Yaar ye words ka khyala rakha kro" dil hi dushman hai " "hain" nhi ata is trah ki or b bht galtiyan hain jaise k zyada tar "ki"likha huwa hai "k" ki bjae

    ReplyDelete