Saturday, June 23, 2007

Jism apna hai koi aur na saya apna – Musavvir Sabzwari



jism apna hai koi aur na saya apna
jane is zist mein hai kon sa rishta apna
tune kis mod pe choda tha mujhe umr-e-ravan
tak raha hun kai sadiyon se main rasta apna
hum rahe bhi to badalate hue mausam ke tarah
teri aankhon mein koi aks na thahara apna
ik tera gham tha baharrang jo shadab raha
is shajar ne giraya koi patta apna
[shajar = tree;
kitne asanam tarashe hain teri surat ke
jhank kar dekh zara mujh se sarapa apna


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Musavvir Sabzwari



No comments:

Post a Comment