Wednesday, June 27, 2007

Tum aankhon se dur ho hui neend aankhon se dur – Aziz Kashmiri



Tum aankhon se dur ho hui neend aankhon se dur
mere sathi gham ke chot se hua dil ka shisha choor
mujhe shikwa hai taqadir se nahi tum se koi gila
mujhe lakar yun pardes mein mera sab kuch chin liya
meri aankhon mein aansu aa base hun rone par majabur
mere zakhm hue pardesiya aa ris-ris ke nasur
mujhe rogi karake pyar ka diya gham ka rog laga
mere jalate hue charag ko meri qismat gai bujha
mujhe dhoka diya nasib ne nahi mera koi kusur
mujhe dhoka diya nasib ne nahi mera koi kusur


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aziz Kashmiri



No comments:

Post a Comment