Kab tak dil ke khair manayen, kab tak reh dikhaoge
kab tak chain ke mohalat doge, kab tak yaad na aaoge
bita did umeed ka mausam, khak udati hai aankhon mein
kab bhejoge dard ka badal, kab barkha barasaoge
ahad-e-vafa aur tark-e-muhabbat jo chaho so aap karo
apne bas ke baat hi kya hai, hum se kya manavaoge
kis ne vasl ka suraj dekha, kis par hijr ke raat dhali
gesuon wale kon the, kya the, un ko kya jatalaoge
‘faiz’ dilon ke bhag mein hai ghar basana bhi lut jana bhi
tum us husn ke lutf-o-karam par kitne din itaraoge
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment